|
|
|
TALAASH
By
Dr. Samreen Ansari |
|
"Kabhi aas
main, kabhi chah main
kabhi dard-ae-dil main,aah main
main chala jo mangnay tujhay
main chala jo khojnay tujhay
tu pata chala,tu khabar hoee
jissay mangnay, jisay khojnay
baree muddat say main ek safar main hon
wo tu pass mairay, qareeb hai
mairee zaat mai hi baseer hai
mairee aas hai,mairee chah hai
maira dard-ae-dil mairee aah hai
mairay khawabon ki hai wo daastaan
in ibadaton ka gunah hai
wo jo pass hai tu khazeen hai
wo jo dur hai tu dua hai......" |
|
|