Yaad Aayi...

By Samreen Qureshi

Kaala aasmaan, chamakte sitaare,
yaad aayi, jaag gaya dil.
Thandi hawa, jhoomte pattay,
yaad aayi, hosh howe ghum.
Chupa chaand, lehraate badal,
yaad aayi, mehek utthi duniya.
Khuli ye aankhein, dekha toh kya,
andher tha chaaya, tanhaayi ka.
Woh dil? Woh hosh? Woh duniya?
Woh sub thaa kya?
Iss pal mein zindagi ki kami hai,
khwaab tha unki yaad ka.

 
HomeAbout You | About Us |  Contact UsHelp | Advertise | Terms of Use | Press Release | Jobs
 getPakistan.com ©1999-2004